merī  duniyā  meñ  abhī  raqs-e-sharar  hotā  hai
jo  bhī  hotā  hai  ba-andāz-e-digar  hotā  hai
bhuul  jaate  haiñ  tire  chāhne  vaale  tujh  ko
is  qadar  saḳht  ye  hastī  kā  safar  hotā  hai
ab  na  vo  josh-e-vafā  hai  na  vo  andāz-e-talab
ab  bhī  lekin  tire  kūche  se  guzar  hotā  hai
dil  meñ  armān  the  kyā  ahd-e-bahārāñ  ke  liye
chāk-e-gul  dekh  ke  ab  chāk-e-jigar  hotā  hai
ham  to  hañste  bhī  haiñ  jī  jaan  se  jaane  ke  liye
tum  jo  rote  ho  to  aañsū  bhī  guhar  hotā  hai
saiñkaḌoñ  zaḳhm  use  milte  haiñ  is  duniyā  se
koī  dil  terā  talabgār  agar  hotā  hai
qāfila  luTtā  hai  jis  vaqt  sar-e-rāhguzar
us  ghaḌī  qāfila-sālār  kidhar  hotā  hai
'anjum'-e-soḳhta-jāñ  ko  hai  ḳhushī  kī  ummīd
raat  meñ  jaise  kabhī  rañg-e-sahar  hotā  hai