badan-sarāb  na  dariyā-e-jāñ  se  miltā  hai
to  phir  ye  ḳhvāb-kināra  kahāñ  se  miltā  hai
ye  dhuup  chhāñv  salāmat  rahe  ki  terā  surāġh
hameñ  to  sāya-e-abr-e-ravāñ  se  miltā  hai
ham  ahl-e-dard  jahāñ  bhī  haiñ  silsila  sab  kā
tumhāre  shahr  ke  āshuftagāñ  se  miltā  hai
jahāñ  se  kuchh  na  mile  to  bhī  fā.ede  haiñ  bahut
hameñ  ye  naqd  usī  āstāñ  se  miltā  hai
fazā  hī  saarī  huī  surḳh-rū  to  hairat  kyā
ki  aaj  rañg-e-havā  gul-ruḳhāñ  se  miltā  hai
bichhaḌ  ke  ḳhaak  hue  ham  to  kyā  zarā  dekho
ġhubār  jā  ke  usī  kārvāñ  se  miltā  hai