kisī  kā  aks-e-badan  thā  na  vo  sharāra  thā
to  maiñ  ne  ḳhema-e-shab  se  kise  pukārā  thā
kahāñ  kisī  ko  thī  fursat  fuzūl  bātoñ  kī
tamām  raat  vahāñ  zikr  bas  tumhārā  thā
makāñ  meñ  kyā  koī  vahshī  havā  dar  aa.ī  thī
tamām  pairahan-e-ḳhvāb  paara  paara  thā
usī  ko  bār-e-digar  dekhnā  nahīñ  thā  mujhe
maiñ  lauT  aayā  ki  manzar  vahī  dobāra  thā
subuk-sarī  ne  girānī  ajiib  kī  dil  par
hai  ab  ye  bojh  ki  vo  bojh  kyuuñ  utārā  thā
shab-e-siyāh  safar  ye  bhī  rā.egāñ  to  nahīñ
vo  kyā  huā  jo  mire  saath  ik  sitāra  thā