nahīñ  āsmāñ  tirī  chaal  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
maiñ  palaT  ke  ab  kisī  haal  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
mirī  ibtidā  mirī  intihā  kahīñ  aur  hai
maiñ  shumāra-e-mah-o-sāl  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
abhī  ik  azaab  se  hai  safar  ik  azaab  tak
abhī  rañg-e-shām-e-zavāl  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
vahī  hālateñ  vahī  sūrateñ  haiñ  nigāh  meñ
kisī  aur  sūrat-e-hāl  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
mujhe  qaid  karne  kī  zahmateñ  na  uThā.iye
nahīñ  ā.ūñgā  kisī  jaal  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
maiñ  ḳhayāl-o-ḳhvāb  hisār  se  bhī  nikal  chukā
so  kisī  ke  ḳhvāb-o-ḳhayāl  meñ  nahīñ  ā.ūñgā
na  ho  bad-gumāñ  mirī  dād-ḳhvāhi-e-hijr  se
mirī  jaañ  maiñ  shauq-e-visāl  meñ  nahīñ  ā.ūñgā