maiñ  band  āñkhoñ  se  kab  talak  ye  ġhubār  dekhūñ
koī  to  manzar  siyāh  dariyā  ke  paar  dekhūñ
kabhī  vo  aalam  ki  us  taraf  aañkh  hī  na  uTThe
kabhī  ye  hālat  ki  us  ko  dīvāna-vār  dekhūñ
ye  kaisā  ḳhuuñ  hai  ki  bah  rahā  hai  na  jam  rahā  hai
ye  rañg  dekhūñ  ki  dil  jigar  kā  fishār  dekhūñ
ye  saarī  be-manzarī  savād-e-sukūt  se  hai
sadā  vo  chamke  to  dhund  ke  ār-pār  dekhūñ
tire  sivā  bhī  hazār  manzar  haiñ  dekhne  ko
tujhe  na  dekhūñ  to  kyuuñ  tirā  intizār  dekhūñ