raqs-e-sharar  kyā  ab  ke  vahshat-nāk  huā
jalte  jalte  sab  kuchh  jal  kar  ḳhaak  huā
sab  ko  apnī  apnī  paḌī  thī  pūchhte  kyā
kaun  vahāñ  bach  niklā  kaun  halāk  huā
mausam-e-gul  se  fasl-e-ḳhizāñ  kī  duurī  kyā
aañkh  jhapakte  saarā  qissa  paak  huā
kin  rañgoñ  is  sūrat  kī  tābīr  karūñ
ḳhvāb-nadī  meñ  ik  shola  pairāk  huā
nādāñ  ko  ā.īna  hī  ayyār  kare
ḳhud  meñ  ho  kar  vo  kaisā  chālāk  huā
tārīkī  ke  raat  azaab  hī  kyā  kam  the
din  niklā  to  sūraj  bhī  saffāk  huā
dil  kī  āñkheñ  khol  ke  raah  chalo  'mahfūz'
dekho  kyā  kyā  aalam  zer-e-ḳhāk  huā