udhar  se  aa.e  to  phir  lauT  kar  nahīñ  ga.e  ham
pukārtī  rahī  duniyā  magar  nahīñ  ga.e  ham
agarche  ḳhaak  hamārī  bahut  huī  pāmāl
ba-rañg-e-naqsh-e-kaf-e-pā  ubhar  nahīñ  ga.e  ham
husūl  kuchh  na  huā  juz  ġhubār-e-hairānī
kahāñ  kahāñ  tirī  āvāz  par  nahīñ  ga.e  ham
manā  rahe  the  vahāñ  log  jashn-e-be-ḳhvābī
yahāñ  the  ḳhvāb  bahut  so  udhar  nahīñ  ga.e  ham
chaḌhā  huā  thā  vo  dariyā  agar  hamāre  liye
to  dekhte  hī  rahe  kyuuñ  utar  nahīñ  ga.e  ham