sar-ba-sar  paikar-e-iz.hār  meñ  laatā  hai  mujhe
aur  phir  ḳhud  hī  tah-e-ḳhāk  chhupātā  hai  mujhe
kab  se  suntā  huuñ  vahī  ek  sadā-e-ḳhāmosh
koī  to  hai  jo  bulandī  se  bulātā  hai  mujhe
raat  āñkhoñ  meñ  mirī  gard-e-siyah  Daal  ke  vo
farsh-e-be-ḳhvābī-e-vahshat  pe  sulātā  hai  mujhe
gum-shuda  maiñ  huuñ  to  har  samt  bhī  gum  hai  mujh  meñ
dekhtā  huuñ  vo  kidhar  DhūñDne  jaatā  hai  mujhe
dīdanī  hai  ye  tavajjoh  bhī  ba-andāz-e-sitam
umr  bhar  shīsha-e-ḳhālī  se  pilātā  hai  mujhe
hama-andesha-e-girdāb  ba-pahlū-e-nashāt
mauj-dar-mauj  hī  sāhil  nazar  aatā  hai  mujhe