savād-e-shām  na  rañg-e-sahar  ko  dekhte  haiñ
bas  ik  sitāra-e-vahshat-asar  ko  dekhte  haiñ
kisī  ke  aane  kī  jis  se  ḳhabar  bhī  aatī  nahīñ
na  jaane  kab  se  usī  rahguzar  ko  dekhte  haiñ
ḳhudā-gavāh  ki  ā.īna-e-nafas  hī  meñ  ham
ḳhud  apnī  zindagī-e-muḳhtasar  ko  dekhte  haiñ
to  kyā  bas  ek  Thikānā  vahī  hai  duniyā  meñ
vo  dar  nahīñ  to  kisī  aur  dar  ko  dekhte  haiñ
sunā  hai  shahr  kā  naqsha  badal  gayā  'mahfūz'
to  chal  ke  ham  bhī  zarā  apne  ghar  ko  dekhte  haiñ