pheñkte  sañg-e-sadā  dariyā-e-vīrānī  meñ  ham
phir  ubharte  dā.era-dar-dā.era  paanī  meñ  ham
ik  zarā  yūñhī  basar  kar  leñ  girāñ-jānī  meñ  ham
phir  tumheñ  shām-o-sahar  rakkheñge  hairānī  meñ  ham
ik  havā  āḳhir  uḌā  hī  le  ga.ī  gard-e-vajūd
sochiye  kyā  ḳhaak  the  us  kī  nigahbānī  meñ  ham
vo  to  kahiye  dil  kī  kaifiyyat  hī  ā.īna  na  thī
varna  kyā  kyā  dekhte  is  ghar  kī  vīrānī  meñ  ham
mahv-e-hairat  the  ki  be-mausam  nadī  pāyāb  thī
bas  khaḌe  dekhā  kiye  utre  nahīñ  paanī  meñ  ham
us  se  milnā  aur  bichhaḌnā  der  tak  phir  sochnā
kitnī  dushvārī  ke  saath  aa.e  the  āsānī  meñ  ham