Shaz Tamkanat

nafas nafas hai tere gham se chur chur ab tak

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
nafas nafas hai tire ġham se chuur chuur ab tak
na shaam hai na saverā qarīb duur ab tak
sunī-sunā.ī pe mat jā zarā qarīb to aa
sazā na de ki mohabbat hai be-qusūr ab tak
machal rahī hai kahīñ jū-e-shīr ai farhād
kalīm san to sahī jal rahā hai tuur ab tak
mire ḳhudā maiñ kahāñ jā.ūñ kis tarah DhūñDūñ
mujhe pukār rahā hai koī zarūr ab tak
na tū mirā na tirī ham-nashīniyāñ merī
bharam hai jis ko samajhte haiñ sab ġhurūr ab tak
idhar vafūr-e-mohabbat udhar muravvat thī
jo kuchh kahā thā bhulā de tire huzūr ab tak
chalā gayā hai makīñ chhoḌ kar makāñ apnā
koī nahīñ hai magar chhan rahā hai nuur ab tak
vo ek hādisa-e-rūh-o-dil ki biit gayā
jise na maan sakā 'shāz' kā shu.ūr ab tak
Top Urdushayar.com