Shaz Tamkanat

sambhal ai qadam ki ye kar-gah-e-nishat-o-gham hai KHabar bhi hai

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
sambhal ai qadam ki ye kār-gāh-e-nishāt-o-ġham hai ḳhabar bhī hai
jise log kahte haiñ rahguzar kisī pā-shikasta kā ghar bhī hai
mujhe muddatoñ yahī vahm thā ki ye ḳhaak kīmiyā ban ga.ī
isī kashmakash meñ guzar ga.ī ki fuġhāñ karūñ to asar bhī hai
hama-inkisār kī kaifiyat hai dam-e-vidā.a kī bebasī
mujhe yuuñ payām-e-sukūñ na de tujhe apne aap se Dar bhī hai
mirī jur.atoñ pe bhī kar nazar tujhe chāhūñ sau dafa TuuT kar
ye bajā ki sīna-e-shauq meñ ġham-e-pāsbānī-e-dar bhī hai
tujhe āgahī kī nahīñ ḳhabar mirī gumrahī pe na tanz kar
are vaqt vaqt kī baat hai yahī aib rashk-e-hunar bhī hai
koī us kā dard bhī pūchhtā ki vo kuchh dinoñ se udaas hai
ye junūñ kī pursish-e-hāl kyā jo azal se ḳhāk-basar bhī hai
ye hai be-gunāhī kā mājrā koī yūñhī mujh se khiñchā rahā
yahī soch soch ke rah gayā ki mire ḳhudā ko ḳhabar bhī hai
tujhe kho ke go maiñ sambhal gayā ye na kah ki 'shāz' badal gayā
pas-e-parda terī panāh meñ mirī shaam bhī hai sahar bhī hai
Top Urdushayar.com