ḳhvāb-e-gul-rañg  ke  anjām  pe  ronā  aayā
āmad-e-sub.h-e-shab-e-andām  pe  ronā  aayā
dil  kā  mafhūm  ishāroñ  se  ujāgar  na  huā
be-kasī-e-gila-e-ḳhām  pe  ronā  aayā
kabhī  ulfat  sī  jhalaktī  hai  kabhī  nafrat  sī
ai  ta.alluq  tire  ib.hām  pe  ronā  aayā
mirī  ḳhushiyāñ  kabhī  jis  naam  se  vābasta  thiiñ
jaane  kyuuñ  aaj  usī  naam  pe  ronā  aayā
le  ke  ubhregī  sahar  phir  vahī  pazhmurda  kiran
kyā  kahūñ  tīrgi-e-shām  pe  ronā  aayā
be-sabab  apnī  nigāhoñ  se  girā  jaatā  huuñ
is  fusūñ-kārī-e-ilzām  pe  ronā  aayā
itne  arzāñ  to  nahīñ  the  mire  ashkoñ  ke  guhar
aaj  kyuuñ  talḳhī-e-ālām  pe  ronā  aayā
lāyaq-e-husn-e-nazar  the  na  kabhī  un  ke  ḳhutūt
aaj  mahrūmī-e-paiġhām  pe  ronā  aayā
ab  bhī  manzil  mire  qadmoñ  kī  tamannā.ī  hai
kyā  kahūñ  hasrat-e-yak-gām  pe  ronā  aayā
rone  vaalā  to  karegā  na  kisī  kā  shikva
laakh  kahiye  ġham-e-ayyām  pe  ronā  aayā
un  ke  shub.hāt  meñ  kuchh  aur  izāfa  thā  'shakeb'
ashk-e-sāda  ke  is  in.aam  pe  ronā  aayā