Shakeb Jalali

wahan ki raushniyon ne bhi zulm Dhae bahut

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966

vahāñ raushniyoñ ne bhī zulm Dhaa.e bahut

maiñ us galī meñ akelā thā aur saa.e bahut

kisī ke sar pe kabhī TuuT kar girā nahīñ

is āsmāñ ne havā meñ qadam jamā.e bahut

na jaane rut tasarruf thā nazar fareb

kalī vahī thī magar rañg jhilmilā.e bahut

havā ruḳh achānak badal gayā varna

mahak ke qāfile sahrā samt aa.e bahut

ye kā.enāt hai merī ḳhaak zarra

maiñ apne dasht se guzrā to bhed paa.e bahut

jo motiyoñ talab ne kabhī udaas kiyā

to ham bhī raah se kañkar sameT laa.e bahut

bas ek raat Thaharnā hai kyā gila kiije

musāfiroñ ko ġhanīmat hai ye sarā.e bahut

jamī rahegī nigāhoñ pe tīrgī din bhar

ki raat ḳhvāb meñ taare utar ke aa.e bahut

'shakeb' kaisī uḌaan ab vo par TuuT ga.e

ki zer-e-dām jab aa.e the phaḌphaḌā.e bahut

Top Urdushayar.com