Shakeb Jalali

jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
jahāñ talak bhī ye sahrā dikhā.ī detā hai
mirī tarah se akelā dikhā.ī detā hai
na itnī tez chale sar-phirī havā se kaho
shajar pe ek hī pattā dikhā.ī detā hai
burā na māniye logoñ kī aib-jūī kā
unheñ to din kā bhī saayā dikhā.ī detā hai
ye ek abr kā TukḌā kahāñ kahāñ barse
tamām dasht hī pyāsā dikhā.ī detā hai
vahīñ pahuñch ke girā.eñge bādbāñ ab to
vo duur koī jazīra dikhā.ī detā hai
vo alvidā.a kā manzar vo bhīgtī palkeñ
pas-e-ġhubār bhī kyā kyā dikhā.ī detā hai
mirī nigāh se chhup kar kahāñ rahegā koī
ki ab to sañg bhī shīsha dikhā.ī detā hai
simaT ke rah ga.e āḳhir pahāḌ se qad bhī
zamīñ se har koī ūñchā dikhā.ī detā hai
khilī hai dil meñ kisī ke badan kī dhuup 'shakeb'
har ek phuul sunahrā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com