Shakeb Jalali

gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
ġham-e-dil hīta-e-tahrīr meñ aatā hī nahīñ
jo kināroñ meñ simaT jaa.e vo dariyā hī nahīñ
os kī būñdoñ meñ bikhrā huā manzar jaise
sab kā is daur meñ ye haal hai merā hī nahīñ
barq kyuuñ un ko jalāne pe kamar-basta hai
maiñ to chhāñv meñ kisī peḌ kī baiThā hī nahīñ
ik kiran thaam ke maiñ dhūp-nagar tak pahuñchā
kaun sā arsh hai jis kā koī ziina hī nahīñ
koī bhūlā huā chehra nazar aa.e shāyad
aa.ina ġhaur se tū ne kabhī dekhā hī nahīñ
bojh lamhoñ kā har ik sar pe uThā.e guzrā
koī is shahr meñ sustāne ko Thahrā hī nahīñ
saaya kyuuñ jal ke huā ḳhaak tujhe kyā ma.alūm
tū kabhī aag ke dariyāoñ meñ utrā hī nahīñ
motī kyā kyā na pare haiñ tah-e-dariyā lekin
barf lahroñ kī koī toḌne vaalā hī nahīñ
is ke pardoñ pe munaqqash tirī āvāz bhī hai
ḳhāna-e-dil meñ faqat terā sarāpā hī nahīñ
hā.il-e-rāh the kitne hī havā ke parbat
to vo bādal ki mire shahr se guzrā hī nahīñ
yaad ke dā.ere kyuuñ phailte jaate haiñ 'shakeb'
us ne tālāb meñ kañkar abhī pheñkā hī nahīñ
Top Urdushayar.com