Baqar Mehdi

fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
fareb khā ke bhī sharminda-e-sukūñ na hue
na kam huā kisī manzil pe valvala dil kā
ye soch kar tirī mahfil se ham chale aa.e
ki ek baar to baḌh jaa.e hausla dil kā
palaT ke ab na kabhī lucknow se guzregā
nikal gayā hai bahut duur qāfila dil kā
harīf-e-ishq koī ho harīf-e-ġham to nahīñ
kisī se ho na sakegā muqābla dil kā
koī kisī kā nahīñ ham-zabāñ zamāne meñ
kareñ to kis se kareñ jā ke ab gila dil kā
shikast khāne kā yaarā nahīñ pa kyā kiije
ik ajnabī se paḌā hai muqābla dil kā
tumhārī nazr bhī laa.e jo ham to kyā laa.e
zarā sambhāl ke rakhnā ye aabla dil kā
Top Urdushayar.com