Sajjad Baluch

hamein to kal kisi agle nagar pahunchna hai

Sajjad Baluch

Attock, Punjab, Pakistan

1976
hameñ to kal kisī agle nagar pahuñchnā hai
matā-e-ḳhvāb tujhe ab kidhar pahuñchnā hai
karāhtā hai sar-e-rāh dard se koī
magar mujhe bhī to jaldī se ghar pahuñchnā hai
hamārā kyā hai kidhar jaa.eñ aur kab jaa.eñ
nikal paḌo ki tumheñ vaqt par pahuñchnā hai
kabhī to pā.egī anjām kashmakash dil kī
kahīñ to ma.arka-e-ḳhair-o-shar pahuñchnā hai
havāo kab se haiñ sakte meñ zard-rū ashjār
barā.e nauhagarī kab idhar pahuñchnā hai
Top Urdushayar.com