dhuup  ke  bhītar  chhup  kar  niklī
tārīkī  sāyoñ  bhar  niklī
raat  girī  thī  ik  gaḌhDhe  meñ
shaam  kā  haath  pakaḌ  kar  niklī
royā  us  se  mil  kar  royā
chāhat  bhes  badal  kar  niklī
phuul  to  phūloñ  sā  honā  thā
titlī  kaisī  patthar  niklī
suut  haiñ  ghar  ke  har  kone  meñ
makḌī  puurī  bun  kar  niklī
tāza-dam  hone  ko  udāsī
le  kar  ġham  kā  shower  niklī
jaañ  niklī  us  ke  pahlū  meñ
vo  hī  merā  mag.har  niklī
hijr  kī  shab  se  ghabrāte  the
yaar  yahī  shab  behtar  niklī
jab  bhī  chor  mire  ghar  aa.e
ek  hañsī  hī  zevar  niklī
'ātish'  kundan  ruuh  milī  hai
umr  kī  aag  meñ  jal  kar  niklī