muñh  añdhere  terī  yādoñ  se  nikalnā  hai  mujhe
aur  phir  maazī  kā  pairāhan  badalnā  hai  mujhe
parbatoñ  par  sub.h  kī  sī  dhuup  huuñ  maiñ  in  dinoñ
jāntā  huuñ  ab  Dhalānoñ  par  phisalnā  hai  mujhe
vaar  se  bachnā  to  hai  hī  vaar  ik  karnā  bhī  hai
aur  in  ke  biich  hī  ruk  kar  sambhalnā  hai  mujhe
mujh  pe  hī  aa  kar  Tikīñ  bedār  āñhkeñ  is  liye
ban  ke  jugnū  aas  kā  har  raat  jalnā  hai  mujhe
ai  mirī  masrūfiyat  mujh  ko  zarūrat  hai  tirī
ik  purāne  ġham  kā  sar  phir  se  kuchalnā  hai  mujhe
ik  udāsī  kā  samundar  hai  mire  andar  kahīñ
haañ  usī  meñ  shaam  ke  sūraj  sā  Dhalnā  hai  mujhe
maiñ  kisī  muflis  kā  jī  huuñ  yuuñ  nahīñ  to  yuuñ  sahī
bas  zarā  sī  baat  se  hī  to  bahalnā  hai  mujhe
maiñ  koī  but  to  nahīñ  'ātish'  mulā.em  barf  kā
aañch  se  ik  din  magar  apnī  pighalnā  hai  mujhe