tere  milne  kā  āḳhirī  imkān
jaise  mujh  meñ  hai  ek  naḳhlistān
ghar  meñ  lagtā  nahīñ  hai  jī  merā
dasht  meñ  rah  gayā  mirā  sāmān
ret  meñ  sīpiyāñ  milī  haiñ  mujhe
kyā  samundar  thā  pahle  registān
lauTe  shāyad  isī  bahāne  vo
rakh  liyā  maiñ  ne  us  kā  kuchh  sāmān
tū  tire  ird-gird  hī  hai  kahīñ
har  taraf  DhūñDh  har  jagah  ko  chhān
duur  tak  koī  bhī  nahīñ  dil  meñ
āḳhirī  shahr  bhī  milā  vīrān
kis  ne  phūñkī  hai  jism  meñ  sāñseñ
kis  ne  chheḌī  hai  zindagī  kī  taan
ḳhaak  ho  jā.egā  badan  'ātish'
hoñge  ik  din  dhuāñ  ye  jism  o  jaan