ye  kitāboñ  sī  jo  hathelī  hai
sab  se  mushkil  yahī  pahelī  hai
merī  ham  umr  hai  ye  tanhā.ī
saath  bachpan  se  mere  khelī  hai
hañstī  rahtī  hai  ek  khiḌkī  par
apnī  dīvār  meñ  akelī  hai
khul  rahī  hai  ye  baat  ham  par  bhī
zindagī  ik  kaThin  pahelī  hai
ek  rauzan  se  chhan  ke  aa  to  ga.ī
ghar  meñ  lekin  kiran  akelī  hai
narm-o-nāzuk  sī  ḳhūb-sūrat  sī
zindagī  pyaar  kī  hathelī  hai
shukriya  un  sabhī  ko  ki  'ātish'
aañch  jis  ne  bhī  terī  jhelī  hai