aisī  achchhī  sūrat  niklī  paanī  kī
āñkheñ  pīchhe  chhūT  ga.iiñ  sailānī  kī
carrom  ho  shatranj  ho  yā  phir  ishq  hī  ho
khel  koī  ho  ham  ne  be-īmānī  kī
qaid  huī  haiñ  āñkheñ  ḳhvāb  jazīre  par
pā  kar  ek  sazā  sī  kaale  paanī  kī
dīvāroñ  par  chāñd  sitāre  raushan  haiñ
bachchoñ  ne  dekho  to  kyā  shaitānī  kī
chāñd  kī  golī  raat  ne  khā  hī  lī  āḳhir
pahle  to  shaitān  ne  ānā-kānī  kī
jalte  diye  sā  ik  bosa  rakh  kar  us  ne
chamak  baḌhā  dī  hai  merī  peshānī  kī
maiñ  us  kī  ā.ankhoñ  ke  pīchhe  bhāgā  thā
jab  afvāh  uḌī  thī  un  meñ  paanī  kī