kiran  ik  mo.ajiza  sā  kar  ga.ī  hai
dhanak  kamre  meñ  mere  bhar  ga.ī  hai
uchak  kar  dekhtī  thī  niiñd  tum  ko
lo  ye  āñkhoñ  se  gir  kar  mar  ga.ī  hai
ḳhamoshī  chhup  rahī  hai  ab  sadā  se
ye  bachchī  ajnabī  se  Dar  ga.ī  hai
khule  milte  haiñ  mujh  ko  dar  hamesha
mire  hāthoñ  meñ  dastak  bhar  ga.ī  hai
use  kuchh  ashk  laane  ko  kahā  thā
kahāñ  jā  kar  udāsī  mar  ga.ī  hai
ujāloñ  meñ  chhupī  thī  ek  laḌkī
falak  kā  rañg-roġhan  kar  ga.ī  hai
vo  phir  ubhregī  thoḌī  saañs  bharne
nadī  meñ  lahar  jo  andar  ga.ī  hai