vo  jahāñ  haiñ  vahīñ  ḳhayāl  mirā
mustaqil  ho  gayā  visāl  mirā
pyaar  se  dekhā  phir  mujhe  us  ne
phir  se  ohda  huā  bahāl  mirā
vo  jo  pāgal  thā  ab  vo  kaisā  hai
aaise  vo  pūchhtā  hai  haal  mirā
apnī  yādoñ  kī  raushnī  kam  kar
is  ne  sonā  kiyā  muhāl  mirā
maiñ  hī  ā.ūñgā  apne  raste  meñ
mere  bhītar  se  Dar  nikāl  mirā
saath  mere  ghasiTtā  hai  pal  pal
thak  ke  saaya  huā  niDhāl  mirā
is  amāvas  meñ  phir  se  tanhā  huuñ
chāñd  hai  gar  sharīk-e-hāl  mirā
TūTnā  hai  javāb  meñ  tum  ko
aaj  kuchh  saḳht  hai  savāl  mirā
taaki  tū  rah  sake  ḳhudā  mujh  meñ
mujh  se  aaseb  ab  nikāl  mirā
aayā  pal  bhar  ko  sar  pe  saaya  phir
dhuup  ko  aa  gayā  ḳhayāl  mirā
tū  mujhe  aazmā  na  aur  'ātish'
terā  jalnā  bhī  hai  kamāl  mirā