zulm  se  darguzar  nahīñ  aatā
haañ  mujhe  ye  hunar  nahīñ  aatā
jab  talak  mere  sar  nahīñ  aatā
un  kā  ilzām  bar  nahīñ  aatā
tab  falak  par  qamar  nahīñ  aatā
yaar  jab  baam  par  nahīñ  aatā
farq-e-zer-o-zabar  nahīñ  aatā
mujh  ko  kuchh  bhī  nazar  nahīñ  aatā
hijratoñ  kī  añdherī  rāhoñ  meñ
chaltā  jaatā  huuñ  ghar  nahīñ  aatā
chashm-e-nargis  udaas  rahtī  hai
ab  koī  dīda-var  nahīñ  aatā
baat  maiñ  saaf  saaf  kartā  huuñ
mujh  ko  ye  gar  magar  nahīñ  aatā
zindagī  itnī  der  mohlat  de
jab  talak  nāma-bar  nahīñ  aatā
jaane  kab  se  huuñ  muntazir  us  kā
par  mirā  muntazar  nahīñ  aatā
ishq  detā  hai  ḳhud  ḳhabar  apnī
le  ke  qāsid  ḳhabar  nahīñ  aatā
umr  bhī  lauT  kar  nahīñ  aatī
vaqt  bhī  lauT  kar  nahīñ  aatā
phir  na  mil  pā.ūñgā  zamāne  se
yaad  ḳhud  ko  agar  nahīñ  aatā
raushnī  se  bane  jo  hote  haiñ
un  kā  saaya  nazar  nahīñ  aatā
vaqt  vo  mehmān  hai  'hassān'
jo  kabhī  lauT  kar  nahīñ  aatā