bahut  jumūd  hai  taarī  koī  ḳhayāl  zarā
nayā  sā  lafz  mirī  ḳhaak  par  uchhāl  zarā
vo  tū  hī  hai  ki  maiñ  bikhrā  huuñ  sāmne  jis  ke
tū  kam-nasīb  nahīñ  hai  mujhe  sambhāl  zarā
bichhaḌte  vaqt  ye  ḳhvāhish  kahāñ  thī  nā-jā.ez
use  bhī  hotā  hamārī  tarah  malāl  zarā
nahīñ  jo  māntā  ḳhud  ko  ki  be-misāl  hai  tū
tū  apne  jaisī  dikhā  de  koī  misāl  zarā
hañsī  meñ  Taal  de  phir  se  hamārī  har  ḳhvāhish
phir  ek  baar  thapak  de  hamārā  gaal  zarā
maiñ  ḳhud  ko  raakh  na  kar  duuñ  ye  Dar  satātā  hai
hisār-e-jism  se  bāhar  mujhe  nikāl  zarā