ḳhaak  the  kahkashāñ  ke  the  hī  nahīñ
ham  kisī  āsmāñ  ke  the  hī  nahīñ
us  ne  aisā  kiyā  nazar-andāz
jaise  ham  dāstāñ  ke  the  hī  nahīñ
tum  ne  jo  bhī  savāl  ham  se  kiye
vo  savāl  imtihāñ  ke  the  hī  nahīñ
chhoḌ  kar  jo  chale  ga.e  us  ko
haañ  vo  hindostāñ  ke  the  hī  nahīñ
itnī  jaldī  jo  bhar  ga.e  haiñ  zaḳhm
jism  ke  the  ye  jaañ  ke  the  hī  nahīñ
sher  dil  meñ  utar  nahīñ  paa.e
kyūñki  dil  kī  zabāñ  ke  the  hī  nahīñ
mas.ala  thā  to  bas  anā  kā  thā
fāsle  darmiyāñ  ke  the  hī  nahīñ