jaañ  kā  dushman  hai  magar  jaan  se  pyārā  bhī  hai
aisā  is  ahd  meñ  ik  shaḳhs  hamārā  bhī  hai
jāgtī  āñkhoñ  ne  dekhe  haiñ  tire  ḳhvāb  ai  jaañ
aur  nīndoñ  meñ  tirā  naam  pukārā  bhī  hai
vo  burā  vaqt  ki  jab  saath  na  ho  saaya  bhī
ham  ne  hañs  hañs  ke  ka.ī  baar  guzārā  bhī  hai
jis  ne  mañjdhār  meñ  chhoḌā  use  ma.alūm  nahīñ
Dūbne  vaale  ko  tinke  kā  sahārā  bhī  hai
mat  luTā  denā  zamāne  pe  hī  saarī  ḳhairāt
muntazir  haath  meñ  kashkol  hamārā  bhī  hai
naam  sun  kar  mirā  us  lab  pe  tabassum  hai  'ziyā'
aur  palkoñ  pe  utar  aayā  sitāra  bhī  hai