dard  kī  dhuup  Dhale  ġham  ke  zamāne  jaa.eñ
dekhiye  ruuh  se  kab  daaġh  purāne  jaa.eñ
ham  ko  bas  terī  hī  chaukhaT  pe  paḌe  rahnā  hai
tujh  se  bichhḌeñ  na  kisī  aur  Thikāne  jaa.eñ
apnī  dīvār-e-anā  aap  hī  kar  ke  mismār
apne  rūThoñ  ko  chalo  aaj  manāne  jaa.eñ
jaane  kyā  raaz  chhupā  hai  tirī  sālārī  meñ
tū  jahāñ  jaa.e  tire  pīchhe  zamāne  jaa.eñ
raheñ  gumnām  to  bas  tujh  se  hī  mansūb  raheñ
jaane  jaa.eñ  to  tire  naam  se  jaane  jaa.eñ
dekh  pā.eñge  un  āñkhoñ  meñ  udāsī  kaise
apne  dukhḌe  na  'ziyā'  un  ko  sunāne  jaa.eñ