Zia Zameer

rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
rāhat-e-vasl binā hijr kī shiddat ke baġhair
zindagī kaise basar hogī mohabbat ke baġhair
ab ke ye soch ke bīmār paḌe haiñ ki hameñ
Thiik honā hī nahīñ terī ayādat ke baġhair
ishq ke māroñ ko ādāb kahāñ aate haiñ
tere kūche meñ chale aa.e ijāzat ke baġhair
ham se pūchho to ki ham kaise haiñ ai ham-vatano
apne yāroñ ke binā apnī mohabbat ke baġhair
mulk to mulk gharoñ par bhī hai qabza us kā
ab to ghar bhī nahīñ chalte haiñ siyāsat ke baġhair
aks kis kā ye utar aayā hai ā.īne meñ
kaun ye dekh rahā hai mujhe hairat ke baġhair
hāsil-e-ishq agar kuchh hai to vahshat hai 'ziyā'
aur insān mukammal nahīñ vahshat ke baġhair
Top Urdushayar.com