zard  patte  the  hameñ  aur  kyā  kar  jaanā  thā
tez  āñdhī  thī  muqābil  so  bikhar  jaanā  thā
vo  na  thā  tark-e-ta.alluq  pe  pashemān  to  phir
tum  ko  bhī  chāhiye  ye  thā  ki  mukar  jaanā  thā
kyuuñ  bhalā  kachche  makānoñ  kā  tumheñ  aayā  ḳhayāl
tum  to  dariyā  the  tumheñ  tez  guzar  jaanā  thā
ishq  meñ  soch  samajh  kar  nahīñ  chalte  sā.īñ
jis  taraf  us  ne  bulāyā  thā  udhar  jaanā  thā
tujh  se  hī  TuuTā  bharam  rishtoñ  kī  mazbūtī  kā
sar  pe  ilzām  tire  dīda-e-tar  jaanā  thā
ḳhud  ko  jab  kar  hī  diyā  thā  tirī  āñdhī  ke  supurd
phir  ye  kyā  jaan  ke  karte  ki  kidhar  jaanā  thā
kyā  ḳhabar  thī  ki  yahāñ  terī  zarūrat  hogī
ham  ne  to  bas  dar-o-dīvār  ko  ghar  jaanā  thā