ab  to  aate  haiñ  sabhī  dil  ko  dukhāne  vaale
jaane  kis  raah  ga.e  naaz  uThāne  vaale
ishq  meñ  pahle  to  bīmār  banā  dete  haiñ
phir  palaTte  hī  nahīñ  rog  lagāne  vaale
kyā  guzartī  hai  kisī  par  ye  kahāñ  sochte  haiñ
kitne  be-dard  haiñ  ye  ruuTh  ke  jaane  vaale
karb  un  kā  ki  jo  fōt-pāth  pe  karte  haiñ  basar
kyā  samajh  pā.eñge  ye  rāj-gharāne  vaale
laakh  ta.avīz  bane  laakh  duā.eñ  bhī  huiiñ
magar  aa.e  hī  nahīñ  jo  na  the  aane  vaale
tū  bhī  miltā  hai  to  matlab  se  hī  ab  miltā  hai
lag  ga.e  tujh  ko  bhī  sab  rog  zamāne  vaale