ye  jo  har  lamha  na  rāhat  na  sakūñ  hai  yuuñ  hai
us  ko  paane  kā  ajab  dil  meñ  junūñ  hai  yuuñ  hai
ādatan  kartā  hai  vo  va.ada-ḳhilāfī  pahle
phir  banātā  hai  bahāne  bhī  ki  yuuñ  hai  yuuñ  hai
mujh  ko  ma.alūm  hai  lauT  aa.egā  merī  jānib
us  ke  jaane  pe  bhī  is  dil  meñ  sukūñ  hai  yuuñ  hai
dil  kā  khiñchnā  jo  ye  jaarī  hai  faqat  us  kī  taraf
us  kī  āñkhoñ  meñ  alag  sā  hī  fusūñ  hai  yuuñ  hai
pūchhte  ho  ki  bhalā  kyuuñ  nahīñ  māyūsī  hai
us  ke  hoñToñ  pe  jo  āhista  sī  huuñ  hai  yuuñ  hai
be-sabab  hai  ye  kahāñ  dasht-navardī  bhī  'ziyā'
apne  zimme  bhī  koī  kār-e-junūñ  hai  yuuñ  hai