us  ko  jaate  hue  dekhā  thā  pukārā  thā  kahāñ
rokte  kis  tarah  vo  shaḳhs  hamārā  thā  kahāñ
thī  kahāñ  rabt  meñ  us  ke  bhī  kamī  koī  magar
maiñ  use  pyārā  thā  par  jaan  se  pyārā  thā  kahāñ
be-sabab  hī  nahīñ  murjhā.e  the  jazboñ  ke  gulāb
tū  ne  chhū  kar  ġham-e-hastī  ko  nikhārā  thā  kahāñ
biich  mañjhdār  meñ  the  is  liye  ham  paar  lage
Dūbne  ke  liye  koī  bhī  kinārā  thā  kahāñ
āḳhir-e-shab  mirī  palkoñ  pe  sitāre  the  ka.ī
lekin  aane  kā  tire  koī  ishārā  thā  kahāñ
ye  tamannā  thī  ki  ham  us  pe  luTā  deñ  hastī
ai  'ziyā'  us  ko  magar  itnā  gavārā  thā  kahāñ