Waqar Bijnori

nazar milte hi barse ashk-e-KHun kyun dida-e-tar se

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
nazar milte hī barse ashk-e-ḳhūñ kyuuñ dīda-e-tar se
rageñ qalb-o-jigar kī chheḌ diiñ kyā tum ne nashtar se
yaqīnan kuchh ta.alluq hai tire dar ko mire sar se
vagarna lauh-e-peshānī kā kyā rishta hai patthar se
mire pahlū meñ hai ābād armānoñ kī ek duniyā
hazāroñ mayyateñ uTheñgī mire saath bistar se
vo apnī zulf bikhrā kar tasavvur hī meñ aa jaate
ye saaya bhī uThā ab to mirī ummīd ke sar se
vafā ne hasrat-e-kushta kā us ko ḳhūñ-bahā samjhā
girā jo ashk dāman par lahū kā dīda-e-tar se
sunā.ūñ tum ko vo lafzoñ meñ hāl-e-ḳhūbī-e-qismat
mire dāman par barse bhī to ashkoñ ke guhar barse
mirī hastī miTāne vaale shāyad tū nahīñ vāqif
ki miT kar bhī banegī ek duniyā mere paikar se
ḳhayāl-e-ābla-pā.ī 'vaqār' ik uzr-e-be-jā thā
na ghar thā duur manzil se na manzil duur thī ghar se
Top Urdushayar.com