surḳh  sunahrī  sabz  aur  dhānī  hotī  hai
jhiil  kināre  shaam  suhānī  hotī  hai
ḳhud  se  jab  bhī  aañkh  milānī  hotī  hai
aañkh  to  jaise  paanī  paanī  hotī  hai
raqs  kare  aur  aañkh  meñ  paanī  bhar  aa.e
har  laḌkī  thoḌī  dīvānī  hotī  hai
kitnī  bojhal  hai  ḳhiffat  kī  gaThrī  bhī
jo  mujh  ko  har  roz  uThānī  hotī  hai
vo  kab  binā  batā.e  va.ada  toḌ  gayā
āñkhoñ  se  bhī  ānā-kānī  hotī  hai
naanī  ke  chehre  kī  lakīroñ  ko  buntī
bachpan  kī  har  shaam  kahānī  hotī  hai
kaise  kah  duuñ  mujhe  mohabbat  hai  tum  se
tum  se  to  har  baat  chhupānī  hotī  hai
dil  ke  darvāze  par  aahaT  suntī  huuñ
jabhī  to  āñkhoñ  meñ  hairānī  hotī  hai
bhīge  bhīge  hoñT  jahāñ  huuñ  shabnam  ke
vahīñ  kahīñ  par  raat  kī  raanī  hotī  hai
roz  nigāheñ  sach  kah  detī  haiñ  saarā
roz  mujhe  hī  baat  banānī  hotī  hai
tum  se  mil  kar  'sīmā'-naqvī  ḳhud  apne
hone  kī  bhī  yād-dahānī  hotī  hai