abr  hī  abr  hai  barastā  na.iiñ
ab  ke  sāvan  tumhāre  jaisā  na.iiñ
ḳhvāb  aur  saiñt  kar  rakheñ  āñkheñ
in  se  aañsū  to  ik  sambhaltā  na.iiñ
ghūmtī  hai  zamīn  gird  mire
paañv  uThte  haiñ  raqs  hotā  na.iiñ
noch  Daale  haiñ  apne  par  maiñ  ne
maiñ  bhī  insān  huuñ  farishta  na.iiñ
kaisā  harjā.ī  ho  gayā  aañsū
merā  dāman  hai  aur  giilā  na.iiñ
kab  hue  dost  kab  hue  dushman
aap  kā  bhī  koī  bharosa  na.iiñ
dil  kī  bāteñ  aur  is  se  chhoḌo  bhī
vo  jo  lagtā  hai  yaar  vaisā  na.iiñ
bātoñ  bātoñ  meñ  jaan  leñge  sabhī
jo  bhī  terā  nahīñ  vo  merā  na.iiñ
āsmānoñ  meñ  kho  ga.iiñ  jā  kar
kuchh  patañgoñ  kī  koī  'sīmā'  na.iiñ