rāste  sikhāte  haiñ  kis  se  kyā  alag  rakhnā
manzileñ  alag  rakhnā  qāfila  alag  rakhnā
ba.ad  ek  muddat  ke  lauT  kar  vo  aayā  hai
aaj  to  kahānī  se  hādisa  alag  rakhnā
jis  se  ham  ne  sīkhā  thā  saath  saath  chalnā  hai
ab  vahī  batātā  hai  naqsh-e-pā  alag  rakhnā
kūza-gar  ne  jaane  kyuuñ  aadmī  banāyā  hai
us  ko  sab  khilaunoñ  se  tum  zarā  alag  rakhnā
lauT  kar  to  aa.e  ho  tajraboñ  kī  sūrat  hai
par  mirī  kahānī  se  falsafa  alag  rakhnā
tum  to  ḳhuub  vāqif  ho  ab  tumhī  batāo  nā
kis  meñ  kyā  milānā  hai  kis  se  kyā  alag  rakhnā
ḳhvāhishoñ  kā  ḳhamyāza  ḳhvāb  kyuuñ  bhareñ  'ādil'
aaj  merī  āñkhoñ  se  rat-jagā  alag  rakhnā