safar  ke  ba.ad  bhī  mujh  ko  safar  meñ  rahnā  hai
nazar  se  girnā  bhī  goyā  ḳhabar  meñ  rahnā  hai
abhī  se  os  ko  kirnoñ  se  pī  rahe  ho  tum
tumheñ  to  ḳhvāb  sā  āñkhoñ  ke  ghar  meñ  rahnā  hai
havā  to  aap  kī  qismat  meñ  honā  likkhā  thā
magar  maiñ  aag  huuñ  mujh  ko  shajar  meñ  rahnā  hai
nikal  ke  ḳhud  se  jo  ḳhud  hī  meñ  Duub  jaatā  hai
maiñ  vo  safīna  huuñ  jis  ko  bhañvar  meñ  rahnā  hai
tumhāre  ba.ad  koī  rāsta  nahīñ  miltā
to  tai  huā  ki  udāsī  ke  ghar  meñ  rahnā  hai
jalā  ke  kaun  mujhe  ab  chale  kisī  kī  taraf
bujhe  diye  ko  to  'ādil'  khañDar  meñ  rahnā  hai