chāñd  taare  banā  ke  kāġhaz  par
ḳhush  hue  ghar  sajā  ke  kāġhaz  par
bastiyāñ  kyuuñ  talāsh  karte  haiñ
log  jañgal  ugā  ke  kāġhaz  par
jaane  kyā  ham  se  kah  gayā  mausam
ḳhushk  pattā  girā  ke  kāġhaz  par
hañste  hañste  miTā  diye  us  ne
shahr  kitne  basā  ke  kāġhaz  par
ham  ne  chāhā  ki  ham  bhī  uḌ  jaa.eñ
ek  chiḌiyā  uḌā  ke  kāġhaz  par
log  sāhil  talāsh  karte  haiñ
ek  dariyā  bahā  ke  kāġhaz  par
naav  sūraj  kī  dhuup  kā  dariyā
tham  ga.e  kaise  aa  ke  kāġhaz  par
ḳhvāb  bhī  ḳhvāb  ho  ga.e  'ādil'
shakl-o-sūrat  dikhā  ke  kāġhaz  par