din  ke  siine  pe  shaam  kā  patthar
ek  patthar  pe  dūsrā  patthar
ye  sunā  thā  ki  devtā  hai  vo
mere  haq  hī  meñ  kyuuñ  huā  pathar
dā.ere  bante  aur  miTte  the
jhiil  meñ  jab  kabhī  girā  patthar
ab  to  ābād  hai  vahāñ  bastī
ab  kahāñ  tere  naam  kā  patthar
ho  ga.e  manziloñ  ke  sab  raahī
de  rahā  hai  kise  sadā  patthar
saare  taare  zamīñ  pe  gir  jaate
zor  se  maiñ  jo  pheñktā  patthar
naam  ne  kaam  kar  dikhāyā  hai
sab  ne  dekhā  hai  tairtā  patthar
tū  use  kyā  uThā.egā  'ādil'
'mīr'  tak  se  na  uTh  sakā  patthar