Shah Aasim

islam aur kufr hamara hi nam hai

Shah Aasim

islām aur kufr hamārā naam hai

ka.aba kunisht donoñ meñ apnā maqām hai

ye ishq jis shor hai aalam meñ haiñ hamīñ

ye husn ham haiñ jis ye sab dhuum dhaam hai

ban kar suḳhan zabān pe aalam haiñ hamīñ

masrūf apne zikr meñ bas har ik daam hai

dekho jis aañkh meñ to hamārā nuur hai

har kaan meñ bharā ye hamārā kalām hai

jo kushtagān-e-ma.arka-e-teġh-e-ishq haiñ

un ke liye ye ālam-e-hastī davām hai

kū-e-sanam se ham ko sarokār hai faqat

vaa.iz tirī bahisht ko apnā salām hai

'āsim' na chhoḌo dāman-e-ḳhādim-safī kabhūñ

ma.amūr jis faiz se har ḳhās-o-ām hai

Top Urdushayar.com