Shah Aasim

hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat

Shah Aasim

hai dil ko mere āriz-e-jānāñ se irtibāt

bulbul ko jis tarah ho gulistāñ se irtibāt

mujh dard-mañd-e-ishq tadbīr hai abas

hogā na mere dard ko darmāñ se irtibāt

banda huuñ ishq nahīñ maz.hab se mujh ko kaam

kyūñkar karūñ maiñ gabrū musalmāñ se irtibāt

hai rabt mujh ko kūcha-e-jānāñ se roz-o-shab

majnūñ ko jis tarah thā bayābāñ se irtibāt

maz.hab hai merā ishq aur rindī hai merā kaam

hai kufr se na mujh ko na īmāñ se irtibāt

hai rabt mujh ko qāmat-e-jānāñ se jis tarah

qumrī hove sarv-e-gulistāñ se irtibāt

'āsim' jahān meñ shah-e-ḳhādim ke maiñ sivā

kāfir huuñ gar karūñ kisī insāñ se irtibāt

Top Urdushayar.com