shaam  sajā  ke  kyā  kareñ  yaad  kā  ehtimām  bhī
bhuul  ga.e  haiñ  ab  to  ham  us  kā  bhalā  sā  naam  bhī
raah  meñ  rok  kar  use  aap  haiñ  sharmsār  ham
yaad  hī  aa  nahīñ  rahā  us  se  thā  koī  kaam  bhī
tāq-e-mizha  pe  zau-fishāñ  misl-e-charāġh-o-kahkashāñ
us  kī  galī  kī  sub.h  bhī  us  kī  galī  kī  shaam  bhī
vaqt-e-namāz-e-ishq  thā  koī  na  pesh-o-pusht  jab
ḳhud  hī  ko  muqtadī  kiyā  ḳhud  hī  bane  imaam  bhī
bāġh-e-vatan  kī  shāḳh-e-sabz  zard  na  ho  kabhī  agar
sāzish-e-hukmarāñ  se  ġhāfil  na  rahe  avaam  bhī
us  ne  kivāḌ  khol  kar  yuuñ  hī  galī  meñ  kī  nigāh
rahravoñ  ke  darmiyān  Thair  ga.ī  hai  shaam  bhī
mujh  pe  karam-navāziyāñ  dasht  kī  baḌh  na  jaa.eñ  kyuuñ
vālī-e-shahr-e-ishq  huuñ  us  pe  tirā  ġhulām  bhī