kuchh  der  merī  ḳhaak  uḌī  hai  mirī  jagah
sahrā  meñ  us  ke  ba.ad  tahī  hai  mirī  jagah
maiñ  le  rahā  huuñ  dasht  se  chhuTTī  so  mere  ba.ad
taḳht-e-junūñ  pe  baiThe  koī  hai  mirī  jagah
maiñ  to  idhar  khaḌā  huuñ  udhar  chīḳhtā  hai  kaun
ye  kis  ko  aag  lagne  lagī  hai  mirī  jagah
merā  hunar  hai  ye  tirī  dariyā-dilī  nahīñ
ab  tak  jo  tere  dil  meñ  banī  hai  mirī  jagah
apnī  to  aarzū  hai  na  marzī  na  hī  pasand
tū  jis  jagah  biThā  de  vahī  hai  mirī  jagah
sab  dekhtā  huuñ  boltā  lekin  maiñ  kuchh  nahīñ
tasvīr  jaise  merī  paḌī  hai  mirī  jagah
bāshindgā-e-charḳh  mirī  fikr  chhoḌ  deñ
ḳhush  huuñ  zamīn  par  ki  yahī  hai  mirī  jagah
tasvīr  meñ  to  apnī  jagah  par  hai  maiñ  nahīñ
ik  ajnabī  sī  shakl  khaḌī  hai  mirī  jagah
ab  dekho  farq  baaġh  pe  paḌtā  hai  is  se  kyā
'zīshān'  rut  badal  to  ga.ī  hai  mirī  jagah