raġhbat  hai  jin  ko  vasl  kī  tere  vajūd  se
tahlīl  ho  rahe  haiñ  fazāoñ  meñ  duud  se
markaz  banā  huuñ  dīda-e-arabāb-e-ġhaib  kā
laayā  gayā  hai  mujh  ko  jahān-e-shuhūd  se
kāfir  batā  ke  qatl  unheñ  kar  diyā  gayā
mar.ūb  ho  sake  jo  na  dāġh-e-sujūd  se
kamre  meñ  aa  ke  baiThā  huuñ  apne  bujhā  bujhā
jal  jal  ke  terī  mahfil-e-raqs-o-surūd  se
ik  ek  naqsh  ubhār  duuñ  tere  jamāl  kā
aage  nikal  ke  fikr  kī  saarī  quyūd  se
vahshat  meñ  noch  khā.ūñ  na  'zīshān'  ḳhud  ko  maiñ
chal  duur  mujh  ko  le  ke  tū  merī  hudūd  se