sar  uThāyā  maz.habī  dīvār  par  paTkā  huā
raah  par  aane  lagā  dil  raah  se  bhaTkā  huā
ras-kashī  kī  dāvateñ  dete  rahe  taaza  gulāb
jhāḌiyoñ  meñ  thā  magar  titlī  kā  par  aTkā  huā
tazkira  hone  lagā  jab  āstīñ  ke  saañp  kā
paas  hī  ehsās  mujh  ko  sarsarāhaT  kā  huā
tishna-e-dīdār  meñ  hī  to  nahīñ  huuñ  in  dinoñ
us  ke  ghar  ke  aa.ine  kā  bhī  hai  muñh  laTkā  huā
ajnabī  māhaul  meñ  kho  jaane  kā  Dar  hai  to  kyā
thaam  luuñ  dāman  tirā  meñ  bārhā  jhaTkā  huā