ham  be-gharoñ  ke  dil  meñ  jagātī  hai  Dar  galī
sotī  hai  aadhī  raat  ko  jab  be-ḳhabar  galī
mujh  ko  to  jān-būjh  ke  bhaTkā  diyā  gayā
sarkār  kā  makān  kahāñ  aur  kidhar  galī
kuchh  saal  qabl  mere  bhī  hisse  meñ  aa.ī  thī
ik  dil-nashīn  shaam  aur  ik  muntazar  galī
chal  to  paḌā  huuñ  shauq-e-makāñ  meñ  tire  magar
aage  se  band  ye  bhī  milegī  agar  galī
siine  se  terī  yaad  lagā  kar  maiñ  so  gayā
har-chand  shor  kartī  rahī  rāt-bhar  galī
ik  arse  ba.ad  udhar  se  jo  merā  guzar  huā
tum  bin  sabhī  udaas  mile  ḳhaas  kar  galī
anjān  shahr  meñ  thā  akelā  nikal  paḌā
'zīshān'  tujh  ko  zehn  meñ  rakhnī  thī  har  galī