bas  tirī  had  se  tujhe  aage  rasā.ī  nahīñ  dī
maiñ  ne  gaalī  to  koī  ai  mire  bhaa.ī  nahīñ  dī
mujhe  har  fikr  se  āzād  samajhne  vaale
mere  māthe  kī  shikan  tujh  ko  dikhā.ī  nahīñ  dī
dil  meñ  ik  shor  uThā  haath  chhuḌāne  se  tire
der  tak  phir  koī  āvāz  sunā.ī  nahīñ  dī
phuul  kāḌhe  haiñ  mire  talvoñ  pe  vahshat  ne  mirī
tapte  sahrā  ne  mujhe  ābla-pā.ī  nahīñ  dī
ek-dūje  se  yuuñ  vābasta  hue  ham  donoñ
maiñ  ne  chāhā  nahīñ  us  ne  bhī  rihā.ī  nahīñ  dī
vasl  aayā  thā  tire  hijr  kā  saudā  karne
ishq  kī  ham  ne  magar  pahlī  kamā.ī  nahīñ  dī
haath  kyā  soch  ke  khīñchā  hai  sitam  se  us  ne
maiñ  ne  zaḳhmoñ  kī  to  'zīshān'  duhā.ī  nahīñ  dī